ye  aur  baat  ki  lahja  udaas  rakhte  haiñ
ḳhizāñ  ke  giit  bhī  apnī  miThās  rakhte  haiñ
kaheñ  to  kyā  kaheñ  ham  un  kī  sāda-lauhī  ko
jo  qātiloñ  se  tarahhum  kī  aas  rakhte  haiñ
kisī  ke  sāmne  phailā.īñ  kis  liye  dāman
tumhāre  dard  kī  daulat  jo  paas  rakhte  haiñ
unheñ  hayāt  kī  tohmat  na  do  abas  yaaro
jo  apnā  jism  na  apnā  libās  rakhte  haiñ
qarīb-e-gul-badnāñ  rah  chuke  haiñ  dīvāne
ye  ḳhaar  vo  haiñ  jo  phūloñ  kī  baas  rakhte  haiñ
kahāñ  bhigo.e  koī  apne  ḳhushk  hoñToñ  ko
ye  daur  vo  hai  ki  dariyā  bhī  pyaas  rakhte  haiñ
ḳhudā  kā  shukr  adā  kiije  ḳhush-nasībī  par
'hafīz'  aap  dil-e-ġham-shanās  rakhte  haiñ