kab  farāġhat  thī  ġham-e-sub.h-o-masā  se  mujh  ko
roz  o  shab  kaam  rahā  āh-o-bukā  se  mujh  ko
pās-e-ḳhātir  se  na  dushman  ke  sitam  kar  mujh  par
khelnā  aatā  hai  ai  dost  qazā  se  mujh  ko
haa.e  aalam  shab-e-furqat  mirī  māyūsī  kā
detī  hai  maut  kī  ummīd  dilāse  mujh  ko
thā  tirī  fitna-ḳhirāmī  se  ayaañ  dil  kā  ma.aal
bū-e-ḳhūñ  aatī  hai  naqsh-e-kaf-e-pā  se  mujh  ko
ai  'vafā'  mausam-e-vahshat  bhī  hai  kyā  mausam-e-gul
kyuuñ  bachāte  haiñ  gulistāñ  kī  havā  se  mujh  ko