Mela Ram Wafa

puchhen wo kash haal dil-e-be-qarar ka

Mela Ram Wafa

Dipoke, Punjab, Pakistan

1895-1980

pūchheñ vo kaash haal dil-e-be-qarār

ham bhī kaheñ ki shukr hai parvardigār

lāzim agar hai shukr parvardigār

phir kyā ilaaj gardish-e-lail-o-nahār

sayyād bhī pahuñch gayā gul-chī bhī baaġh meñ

ai ham-safīr aa gayā mausam bahār

tadbīr kyā ho sabr-o-shakeb-o-qarār

vo tund-ḳhū hai bas na dil iḳhtiyār

kyūñ-kar miTe nadāmat-e-iz.hār-e-ārzū

aalam nazar meñ hai nigah-e-sharmsār

qānūn kis ne badlā hai qudrat shaiḳh-jī

daarū hai ab bhī mai ġham-e-rozgār

un nāmiyoñ ke hashr se ibrat-pazīr ho

baaqī nahīñ nishān bhī jin ke ġhubār

rakkhegā be-qarār tumheñ bhī tamām umr

marnā taḌap taḌap ke kisī be-qarār

be-laus ho havas se agar ishq ai 'vafā'

hai zikr-e-yār meñ bhī maza vasl-e-yār

Top Urdushayar.com