Mela Ram Wafa

barson se hun main zamzama-pardaz-e-mohabbat

Mela Ram Wafa

Dipoke, Punjab, Pakistan

1895-1980
barsoñ se huuñ maiñ zamzama-pardāz-e-mohabbat
aa.ī na javāban kabhī āvāz-e-mohabbat
ik dard mohabbat hai mirī har rag-o-pai meñ
har saañs hai ab merā ik āvāz-e-mohabbat
har-chand ki har bazm meñ Thukrā.ī ga.ī hai
āvāz-e-mohabbat hai phir āvāza-e-mohabbat
ma.amūr haiñ āvāz-e-mohabbat se fazā.eñ
mastūr hai go sāhib-e-āvāz-e-mohabbat
aa jaa.e zarā sīna-e-āfāq meñ garmī
ho jaa.e zarā sho.ala-zan āvāz-e-mohabbat
ye daur hai daur-e-havas is daur meñ ai dil
suntā nahīñ dil se koī āvāz-e-mohabbat
jis shaḳhs ke siine meñ hai dil kī jagah patthar
samjhegā vo kyā ma.anī-e-āvāz-e-mohabbat
is daur-e-tag-o-dau meñ vafā kaun sunegā
kitnī hī dil-āvez ho āvāz-e-mohabbat
Top Urdushayar.com