Shakeel Badayuni

hum hain aur unki KHushi hai aaj-kal

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
ham haiñ aur un kī ḳhushī hai āj-kal
zindagī hī zindagī hai āj-kal
ġham kā har aalam nayā hai in dinoñ
dil kī har duniyā na.ī hai āj-kal
un kā zikr un kī tamannā un kī yaad
vaqt kitnā qīmtī hai āj-kal
chāñd bhī hai sogvār-e-hijr dost
phīkī phīkī chāñdnī hai āj-kal
jal rahī hai dil meñ sham-e-ārzū
ġham-kade meñ raushnī hai āj-kal
tū hai aur dariyā-dilī hai sāqiyā
maiñ huuñ aur tishna-labī hai āj-kal
be-qarārī karvaToñ par karvaTeñ
dil kā aalam dīdanī hai āj-kal
arz-e-ġham par muskurāte bhī nahīñ
barhamī sī barhamī hai āj-kal
hāsil-e-tark-e-mohabbat dekhnā
anjuman suunī paḌī hai āj-kal
dil meñ aur māyūsiyoñ meñ ai 'shakīl'
ittihād-e-bāhamī hai āj-kal
Top Urdushayar.com