Shakeel Badayuni

tere baghair ajab bazm-e-dil ka aalam hai

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970

tire baġhair ajab bazm-e-dil aalam hai

charāġh saiñkaḌoñ jalte haiñ raushnī kam hai

jo rahe haiñ unhī ke liye har ik ġham hai

zahe-nasīb ki phūloñ zindagī kam hai

qafas se aa.e chaman meñ to bas yahī dekhā

bahār kahte haiñ jis ko ḳhizāñ aalam hai

ḳhayāl-e-tark-e-mohabbat ḳhair ho yārab

kuchh aaj mast nigāhoñ be-ruḳhī kam hai

banā.e haiñ isī shabnam ne saiñkaḌoñ dariyā

nahīñ malāl jo dariyā harīf-e-shabnam hai

kahā ye dil ne sunī guftugū jo nāseh

mubālaġha hai bahut is meñ vāqi.a kam hai

bahār aa.e chaman meñ ye intizār na dekh

'shakīl' apne junūñ bahār kyā kam hai

Top Urdushayar.com