Shakeel Badayuni

dil mein kisi KHalish ka guzar chahta hun main

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970

dil meñ kisī ḳhalish guzar chāhtā huuñ maiñ

jaisī bhī ho bas ek nazar chāhtā huuñ maiñ

ḳham ho ke phir na uTThe vo sar chāhtā huuñ maiñ

uTh kar jo ḳham na ho vo nazar chāhtā huuñ maiñ

hote tazkira koī aa jaa.e rū-ba-rū

itnā buland zauq-e-nazar chāhtā huuñ maiñ

merā sukūn shauq hai sab kuchh mire liye

nāloñ ko be-niyāz asar chāhtā huuñ maiñ

kyā pūchhte ho maqsad-e-iz.hār-e-ārzū

sharh-e-vafā pe naqd-o-nazar chāhtā huuñ maiñ

paiham ġham-e-firāq se ghabrā gayā hai dil

kuchh imtiyāz-e-shām-o-sahar chāhtā huuñ maiñ

chāhtā hai aag lagā duuñ naqāb meñ

jalvoñ se intiqām-e-nazar chāhtā huuñ maiñ

muhtāj-e-rāhbar huuñ jahāñ ḳhizr tak 'shakīl'

aisī bhī koī rāhguzar chāhtā huuñ maiñ

Top Urdushayar.com