āḳhirī  vaqt  hai  āḳhirī  saañs  hai  zindagī  kī  hai  shaam  āḳhirī  āḳhirī
sañg-dil  aa  bhī  jā  ab  ḳhudā  ke  liye  lab  pe  hai  terā  naam  āḳhirī  āḳhirī
kuchh  to  āsān  hogā  adam  kā  safar  un  se  kahnā  tumheñ  DhūñDhtī  hai  nazar
nāma-bar  tū  ḳhudārā  na  ab  der  kar  de  de  un  ko  payām  āḳhirī  āḳhirī
tauba  kartā  huuñ  kal  se  piyūñgā  nahīñ  mai-kashī  ke  sahāre  jiyūñgā  nahīñ
merī  tauba  se  pahle  magar  sāqiyā  sirf  de  ek  jaam  āḳhirī  āḳhirī
mujh  ko  yāroñ  ne  nahlā  ke  kafnā  diyā  do  ghaḌī  bhī  na  biitī  ki  dafnā  diyā
kaun  kartā  hai  ġham  TūTte  hī  ye  dam  kar  diyā  intizām  āḳhirī  āḳhirī
jīte-jī  qadr  merī  kisī  ne  na  kī  zindagī  bhī  mirī  bevafā  ho  ga.ī
duniyā  vaalo  mubārak  ye  duniyā  tumheñ  kar  chale  ham  salām  āḳhirī  āḳhirī