Shakeel Badayuni

sarguzisht-e-dil ko rudad-e-jahan samjha tha main

Shakeel Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1916-1970
sarguzisht-e-dil ko rūdād-e-jahāñ samjhā thā maiñ
muḳhtasar sī baat ko ik dāstāñ samjhā thā maiñ
ban ga.ī mere liye ik iztirāb-e-mustaqil
jis mohabbat ko sukūn-e-qalb-o-jāñ samjhā thā maiñ
vo bhī merī gardish-e-taqdīr kā ik daur thā
jis ko ab tak inqilāb-e-āsmāñ samjhā thā maiñ
vo to ye kahiye mohabbat ne hī āñkheñ khol diiñ
zindagī ko varna ik rāz-e-nihāñ samjhā thā maiñ
rashk rah rah kar na kyuuñ aa.e nasīb-e-ġhair par
vo usī mahfil meñ shāmil the jahāñ samjhā thā maiñ
thā haram kī sarzamīñ par lutf-andoz-e-sujūd
ya.anī ka.abe ko tumhārā āstāñ samjhā thā maiñ
vādi-e-ġhurbat meñ yuuñ gum-karda manzil thā 'shakīl'
rahzan-e-manzil ko ḳhizr-e-kārvāñ samjhā thā maiñ
Top Urdushayar.com