ab  tak  shikāyateñ  haiñ  dil-e-bad-nasīb  se
ik  din  kisī  ko  dekh  liyā  thā  qarīb  se
aksar  ba-zom-e-tark-e-mohabbat  ḳhudā  gavāh
guzrā  chalā  gayā  huuñ  dayār-e-habīb  se
dast-e-ḳhizāñ  ne  baḌh  ke  vahīñ  us  ko  chun  liyā
jo  phuul  gir  gayā  nigah-e-andalīb  se
ahl-e-sukūñ  se  khel  na  ai  mauj-e-imbisāt
ik  din  ulajh  ke  dekh  kisī  ġham-nasīb  se
na  ahl-e-nāz  ko  bhī  mile  fursat-e-niyāz
maiñ  duur  haT  gayā  jo  vo  guzre  qarīb  se
ye  kis  ḳhatā  pe  ruuTh  ga.ī  chashm-e-iltifāt
ye  kab  kā  intiqām  liyā  mujh  ġharīb  se
un  ke  baġhair  bhī  hai  vahī  zindagī  kā  daur
hālāt-e-zindagī  haiñ  magar  kuchh  ajiib  se
samjhe  hue  the  husn-e-azal  jis  ko  ham  'shakīl'
apnā  hī  aks-e-ruḳh  nazar  aayā  qarīb  se