Mansoor Aafaque

soch ka saniya dam bhar ko gaya yar ke pas

Mansoor Aafaque

United Kingdom

1962
soch kā sāniya dam bhar ko gayā yaar ke paas
paañv be-sāḳhta le aa.e mujhe kaar ke paas
ek patthar hai ki bas surḳh huā jaatā hai
koī pahroñ se khaḌā hai kisī dīvār ke paas
ghanTiyāñ shor machātī haiñ mire kānoñ meñ
phone murda hai magar bistar-e-bedār ke paas
kis tarah barf-bharī raat guzārī hogī
maiñ bhī maujūd na thā yār-e-tarah-dār ke paas
ibrat-āmoz hai darbār-e-shab-o-roz kā taaj
tasht-e-tārīḳh meñ sar rakkhe haiñ dastār ke paas
chashm-e-lāla pe siyah paTTiyāñ bāñdhīñ 'mansūr'
sūliyāñ gāḌne vaale gul-o-gulzār ke paas
Top Urdushayar.com