sar-tā-pā  hairat  meñ  gum  ho  jā.egā
tū  bhī  kyā  hairat  meñ  gum  ho  jā.egā
aadmī  ban  jā.egā  taḳhlīq-kār
aur  ḳhudā  hairat  meñ  gum  ho  jā.egā
dekh  kar  mujh  ā.īna-rū  kā  jamāl
ā.īna  hairat  meñ  gum  ho  jā.egā
laash  ko  vāris  na  pahchāneñge  aur
sāneha  hairat  meñ  gum  ho  jā.egā
raqs  meñ  hoñge  dar-o-dīvār-o-bām
taḳhliya  hairat  meñ  gum  ho  jā.egā
manzileñ  ma.adūm  ho  jā.eñgī  sab
rāsta  hairat  meñ  gum  ho  jā.egā
aql  se  bhī  māvarā  sochūñngī  maiñ
falsafa  hairat  meñ  gum  ho  jā.egā
kyā  se  kyā  ashkāl  badleñgī  yahāñ
kyā  se  kyā  hairat  meñ  gum  ho  jā.egā
dekhnā  ye  ālam-e-ījād  bhī
'rāshida'  hairat  meñ  gum  ho  jā.egā