sar-ba-sar  shāḳh-e-dil  harī  rahegī
tā-abad  aañkh  meñ  tarī  rahegī
maiñ  ne  qissa  hī  paak  kar  Daalā
ishq  hogā  na  ḳhud-sarī  rahegī
aks  bante  raheñge  pesh-e-nazar
sūrat-e-ā.īna-garī  rahegī
satr-dar-satr  ḳhuuñ  jalāyā  hai
lafz  meñ  raushnī  bharī  rahegī
ḳhāmushī  oḌh  lī  daraḳhtoñ  ne
ārzū-e-suḳhan-varī  rahegī
koī  manzil  talāsh  lī  jaa.e
ab  kahāñ  tak  ye  be-gharī  rahegī
baaġh  meñ  hai  qayām  kā  mauqa.a
sab  parindoñ  se  dilbarī  rahegī
kyā  hamesha  bhaTaknā  hai  mujh  ko
kyā  hamesha  subuk-sarī  rahegī
zindagī  se  Darī  rahūñgī  maiñ
zindagī  saa.e  se  Darī  rahegī
chāñd  agar  Duub  bhī  gayā  'māhīn'
taaq  par  chāñdnī  dharī  rahegī