ik  ḳhayāl-afroz  mauj  aa.ī  to  thī
maiñ  ne  apnī  satr  mahkā.ī  to  thī
tum  nahīñ  the  yaad  thī  har  sū  muhīt
maiñ  nahīñ  thī  merī  tanhā.ī  to  thī
dar-ba-dar  be-pairahan  thā  ḳhvāb-e-ishq
maiñ  ne  us  ko  aañkh  pahnā.ī  to  thī
phir  mujhe  us  ne  kahā  sab  jhuuT  hai
ek  lamhe  ko  maiñ  ghabrā.ī  to  thī
duur  tak  bichhtā  chalā  jaatā  thā  shauq
kuchh  nahīñ  thā  dasht-paimā.ī  to  thī
kyuuñ  mujhe  dariyā  bulātā  hai  qarīb
us  kī  āñkhoñ  meñ  bhī  gahrā.ī  to  thī
kyuuñ  zamīn-o-āsmāñ  haiñ  raqs  meñ
aur  kyā  thā  ek  añgḌā.ī  to  thī
lamha  bhar  ko  hī  Dhalā  thā  āftāb
lamha  bhar  ko  raah  dhundlā.ī  to  thī
maiñ  ki  haq  par  DaT  ga.ī  thī  'rāshida'
us  kī  bātoñ  meñ  bhī  sachchā.ī  to  thī