ḳhushkī  pe  rahūñgī  kabhī  paanī  meñ  rahūñgī
tā  umr  isī  naql-e-makānī  meñ  rahūñgī
maiñ  jism  nahīñ  husn  huuñ  ai  chashm-e-abad-tāb
mar  kar  bhī  mohabbat  kī  kahānī  meñ  rahūñgī
tābinda  raheñge  mirī  āñkhoñ  ke  kināre
ashkoñ  meñ  Dhalī  huuñ  ki  ravānī  meñ  rahūñgī
ajdād  kī  qurbat  se  uThāyā  gayā  mujh  ko
goyā  maiñ  buzurgoñ  kī  nishānī  meñ  rahūñgī
sheroñ  hī  pe  mauqūf  nahīñ  merī  haqīqat
alfāz  se  bhāgūñgī  ma.ānī  meñ  rahūñgī
ai  shā.er-e-dil-soz  mire  dukh  ko  bayāñ  kar
tā  hashr  tirī  sho.ala-bayānī  meñ  rahūñgī
ab  guḌiyā  paToloñ  se  ilāqa  nahīñ  'māhīn'
bachpan  se  nikal  aa.ī  javānī  meñ  rahūñgī