Arman Najmi

jaane kis aalam-e-ehsas mein khoe hue hain

Arman Najmi

jaane kis ālam-e-ehsās meñ kho.e hue haiñ

ham haiñ vo log ki jaage haiñ na so.e hue haiñ

apne anjām dekhegā tamāshā kabhī vo

jīte-jī ham to abhī se use ro.e hue haiñ

daaġh miTtā nahīñ kuchh aur numāyāñ huā hai

apne haath aap ne kis chiiz se dho.e hue haiñ

kuchh samajh meñ nahīñ aatā ye mukāfāt-e-amal

kāTte kyuuñ nahīñ jo aap ne bo.e hue haiñ

ruuh apnī rahī hai qurb-e-badan se sarshār

ham farishte nahīñ dāman ko bhigo.e hue haiñ

saañs lene ko bhī ab in taraf dekhtā huuñ

nok-e-nashtar jo rag-e-jāñ meñ chubho.e hue haiñ

kyā milā un se hameñ ḳhaak nadāmat ke sivā

ham bhī kin ḳhvāboñ ta.abīr ko Dho.e hue haiñ

itne nādāñ bhī nahīñ ham ki samajh bhī na sakeñ

aap lahje meñ jo shīrīnī samo.e hue haiñ

Top Urdushayar.com