Kishwar Naheed

KHush bayaban mein magar shahr mein Darna us ka

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
ḳhush bayābāñ meñ magar shahr meñ Darnā us kā
kaasa hāthoñ meñ liye ghar meñ bhī phirnā us kā
dil dukhā ke kabhī hañsnā kabhī ronā us kā
mere āñgan meñ likhā thā nahīñ basnā us kā
us ne tanhā.ī meñ bhī anjuman-ārā.ī kī
chāñd ne dekh liyā āñkhoñ ko bharnā us kā
maiñ ne dekhā hai sar-e-shām udāsī kā ḳhirām
paañv meñ chhāle pahan ke na Thaharnā us kā
aa.ina dekhnā manzūr nahīñ thā us ko
lutf detā thā havā ban ke guzarnā us kā
har ḳhalish aan ke ruktī thī mirī bāñhoñ meñ
zindagī dekhtī rahtī thī taḌapnā us kā
hai ajab tarz-e-mulāqāt ajab tarz-e-safar
paas aa ke na Thaharnā na guzarnā us kā
Top Urdushayar.com