kabhī  ḳhuuñ  hotī  hue  aur  kabhī  jalte  dekhā
dil  ko  har  baar  nayā  rañg  badalte  dekhā
jab  ye  chāhā  ki  likheñ  vasf-e-safā-e-ruḳh-e-yār
saf.he  par  pā-e-qalam  ham  ne  phisalte  dekhā
mai  meñ  ye  baat  kahāñ  jo  tire  diide  meñ  hai
jis  ko  dekhā  ki  girā  phir  na  sambhalte  dekhā
uf  re  soz-e-dil-e-āshiq  ki  lahad  par  us  ke
sañg-e-marmar  sifat-e-barf  pighalte  dekhā
dil  ke  lene  meñ  ye  qudarat  use  allāh  na  de
jis  ko  miTTī  ke  khilaune  pe  machalte  dekhā
dil  kā  kyā  rañg  hai  tum  phir  bhī  na  samjhe  afsos
chashma-e-chashm  se  ḳhūnāb  ubalte  dekhā
hai  ye  saaqī  kī  karāmat  ki  nahīñ  jaam  ke  paañv
aur  phir  bazm  meñ  sab  ne  use  chalte  dekhā
vā.iz-o-shaiḳh  sabhī  ḳhuub  haiñ  kyā  batlā.ūñ
maiñ  ne  maiḳhāne  se  kis  kis  ko  nikalte  dekhā
parda  kyuuñ  kartā  hai  'nāzim'  tire  ghar  aa.e  the
raat  ko  ham  ne  unheñ  bhes  badalte  dekhā