thī  āsmāñ  pe  merī  chaḌhā.ī  tamām  raat
pheñkā  kiyā  huuñ  tīr-e-havā.ī  tamām  raat
vo  mai-parast  huuñ  ki  na  paa.ī  agar  sharāb
kī  ḳhūn-e-dil  se  kār-ravā.ī  tamām  raat
ham-ḳhāna-e-adū  hai  mubārak  rahe  use
jhagḌā  tamām  roz  laḌā.ī  tamām  raat
kyā  ḳhush  rahā  maiñ  dost  kī  tasvīr  jaan  kar
thī  kal  jo  mah  kī  jalva-numā.ī  tamām  raat
bikhrī  rahī  hai  shab  mire  baazū  pe  zulf-e-yār
kartā  rahā  huuñ  ġhāliya-sā.ī  tamām  raat
baḌhtā  rahā  badan  meñ  mire  dam-ba-dam  lahū
siine  pe  thā  vo  dast-e-hinā.ī  tamām  raat
thā  mere  hausle  se  ziyāda  ġham-e-firāq
ik  dāstān  us  ko  sunā.ī  tamām  raat
sharm-e-sitam  ne  vasl  meñ  kaisā  sitam  kiyā
shakl  us  ne  kal  mujhe  na  dikhā.ī  tamām  raat
sachche  haiñ  apne  va.ade  ke  aate  vo  ḳhvāb  meñ
'nāzim'  mujhī  ko  niiñd  na  aa.ī  tamām  raat