mil  jaa.eñ  azhdahām  meñ  ham  hī  ye  ham  se  duur
ik  ghar  judā  banā.eñge  dair-o-haram  se  duur
jitne  qadam  zyāda  hoñ  utnā  zyāda  ajr
ghar  barahman  kā  chāhiye  bait-us-sanam  se  duur
shaddād  shukr  kar  ki  ga.ī  dar  pe  terī  jaan
jab  thā  maqām-e-shikva  ki  martā  iram  se  duur
pairav  huuñ  garche  pās-e-adab  bhī  zarūr  hai
rakhtā  huuñ  paañv  ḳhizr  ke  naqsh-e-qadam  se  duur
chāhūñ  ki  haal  vahshat-e-dil  kuchh  raqam  karūñ
bhāgeñ  hurūf  vaqt-e-nigārish  qalam  se  duur
dekhā  hai  dām-o-dāna  kā  dastūr  yaañ  nayā
ḳhāl-e-zaqan  hī  turra-e-pur-pech-o-ḳham  se  duur
dam  bhar  meñ  jā  pahuñchte  haiñ  yaañ  ke  muqīm  vaañ
ye  marhala  nahīñ  hai  savād-e-adam  se  duur
haiñ  khel  sab  munāfī-e-shaukat  ki  ahl-e-jāh
rah  jaate  haiñ  shikār  meñ  ḳhail-o-hasham  se  duur
'nāzim'  ye  taar  bijlī  ke  nikle  hai  raah  ḳhuub
bāteñ  kareñge  yaar  ho  kitnā  hī  ham  se  duur