qaazī  ke  muñh  pe  maarī  hai  botal  sharāb  kī
ye  umr  bhar  meñ  ek  huī  hai  savāb  kī
ai  yaar  tere  lab  pe  tabassum  nahīñ  numūd
paidā  hai  māh-e-nau  se  kiran  āftāb  kī
aayā  mizha  pe  laḳht-e-dil-e-be-qarār  yaad
gardish  jo  ham  ne  siiḳh  pe  dekhī  kabāb  kī
terī  kudūratoñ  ne  mujhe  ḳhaak  kar  diyā
tere  ġhubār  ne  mirī  miTTī  ḳharāb  kī
merī  ḳhatā.eñ  aa  nahīñ  saktī  shumār  meñ
gintī  ho  kyā  tire  karam-e-be-hisāb  kī
saaqī  tire  karam  se  ye  ummīd  hai  mujhe
ho  roz-e-hashr  haath  meñ  botal  sharāb  kī
mastān-e-ishq  aa.e  ta.allī  par  ai  falak
ab  ḳhair  maañg  tū  qadah-e-āftāb  kī
nashsha  zamīñ  se  sū-e-falak  le  uḌā  mujhe
saaqī  sharāb  ne  mirī  miTTī  ḳharāb  kī
do  roz  jā  ke  ābnā-rūyoñ  kī  bazm  meñ
kyā  shakl  ho  ga.ī  dil-e-ḳhāna-ḳharāb  kī
bijlī  nahīñ  taḌaptī  hai  ai  dil  ye  āsmān
parvāz  uḌā  rahā  hai  tire  iztirāb  kī
abrū  kī  teġh  se  jo  bachā  maiñ  to  yaar  ne
barchhī  lagā.ī  baḌh  ke  nigāh-e-itāb  kī
allāh  re  asar  mirī  baḳht-e-siyah  kā
piirī  meñ  ehtiyāj  nahīñ  hai  ḳhizāb  kī
'nāzim'  mire  gunāh  haiñ  bāhar  hisāb  se
tashvīsh  kuchh  nahīñ  mujhe  roz-e-hisāb  kī