hai  ā.īna-ḳhāne  meñ  tirā  zauq-fazā  raqs
karte  haiñ  bahut  se  tire  ham-shakl  judā  raqs
be-zaḳhm  sadā  dene  lage  saaz  ajab  kyā
gar  karne  lageñ  ḳhud-baḳhud  ālāt-e-ġhina  raqs
ho  gar  na  tirī  baaġh  meñ  aane  kī  tavaqqo
kyuuñ  sarv  ko  ta.alīm  kare  bād-e-sabā  raqs
vaañ  qāfila  manzil  pe  bhī  pahuñchā  magar  ab  tak
ham  karte  haiñ  sahrā  meñ  bā-āvāz-e-darā  raqs
hai  vādi-e-ġham  vo  ki  gar  aa  jaa.eñ  idhar  ḳhizr
rāshe  se  kare  haath  meñ  hazrat  ke  asā  raqs
ma.aqūl  sahī  vajd  kā  hiila  magar  ai  shaiḳh
achchhā  nahīñ  bā-īñ-hama-tamkīn-o-hayā  raqs
yuuñ  hī  to  ḳharābāt  meñ  aao  ki  sarāsar
yā  baada  hai  yā  bañg  hai  yā  naġhma  hai  yā  raqs
yaañ  tum  ko  ye  āvāz-e-daf-o-chañg  mubārak
be-kashmakash-e-ḳhirqa-o-tasbīh-o-ridā  raqs
'nāzim'  tire  ash.ār  meñ  haiñ  ma.anī-e-tauhīd
is  zamzame  par  karte  haiñ  mardān-e-ḳhudā  raqs