jab  kaho  kyuuñ  ho  ḳhafā  kyā  baa.is
kahte  haiñ  pūchhne  kā  kyā  baa.is
bholī  sūrat  kī  hai  ḳhūbī  varna
ho  adū  dost-numā  kyā  baa.is
maiñ  ne  kī  aah  to  bole  nāgāh
ho  ga.e  garm  huā  kyā  baa.is
aatā  hai  dekh  ke  anjum  ko  ḳhayāl
hai  falak  ābla-pā  kiyā  baa.is
va.ada  karne  kī  zarūrat  kyā  thī
phir  na  aane  kā  bhalā  kyā  baa.is
gar  na  thī  hijr  meñ  ummīd-e-visāl
jiite  rahne  kā  huā  kyā  baa.is
dam  nikaltā  hai  mirā  ruk  ruk  kar
kunad  hai  teġh-e-qazā  kyā  baa.is
chashma-e-ḳhizr  meñ  mai  hī  be-shak
aab  ho  umr-fazā  kyā  baa.is
tum  karo  tark-e-jafā  kyā  imkān
ham  kareñ  tark-e-vafā  kiyā  baa.is
naala  kartā  nahīñ  'nāzim'  tāsīr
tiir  hotā  hai  ḳhatā  kyā  baa.is