āshiq-e-haq  haiñ  hamīñ  shikva-e-taqdīr  nahīñ
pech-e-qismat  kā  kam-az-zulf-e-girah-gīr  nahīñ
bas  ki  aahoñ  se  asīroñ  ke  bahe  laḳht-e-jigar
be-nagīñ  aaj  koī  ḳhāna-e-zanjīr  nahīñ
kushtanī  paas  to  aa  jaa.e  magar  tere  paas
neza-o-tīr  hī  hai  dashna-o-shamshīr  nahīñ
sab  ke  is  umr  meñ  ho  jaate  haiñ  aise  hī  havās
tujh  se  kuchh  shikva  hameñ  ai  falak-e-pīr  nahīñ
ghar  kī  vīrānī  ko  kyā  ro.uuñ  ki  ye  pahle  se
tañg  itnā  hai  ki  gunjā.ish-e-ta.amīr  nahīñ
ādamiyat  nahīñ  tujh  meñ  ye  adū  kī  hai  ġharaz
yuuñ  parī  kahne  meñ  maanā  tirī  tahqīr  nahīñ
jumbish  abrū  ko  hai  lekin  nahīñ  āshiq  pe  nigāh
tum  kamāñ  kyuuñ  liye  phirte  ho  agar  tiir  nahīñ
himmat-e-murġh-e-sahar-ḳhvāñ  kā  huuñ  qaa.il  ki  use
naale  se  zamzama  maqsūd  hai  tāsīr  nahīñ
apne  ustād  ke  andāz  pe  merā  hai  kalām
mujh  ko  'nāzim'  havas-e-pairvī-e-'mīr'  nahīñ