ham  ko  havas-e-jalva-gāh-e-tūr  nahīñ  hai
us  husn  kī  kyā  qadr  jo  mastūr  nahīñ  hai
afsāna-e-majnūñ  se  nahīñ  kam  mirā  qissa
is  baat  ko  jaane  do  ki  mash.hūr  nahīñ  hai
ka.abe  ko  chale  jaa.eñ  dar-e-dost  se  uTh  kar
par  us  kā  satānā  hameñ  manzūr  nahīñ  hai
vo  merī  ayādat  ko  zarūr  ā.eñgī  hamdam
kahte  haiñ  ki  makkār  hai  ranjūr  nahīñ  hai
khilne  se  bhalā  us  ke  dukhe  kyuuñ  dil-e-bulbul
hai  ġhuncha-e-gul  zaḳhm  kā  añgūr  nahīñ  hai
dāvat  se  musaḳhḳhar  ho  na  taa.at  se  mayassar
huuñ  jis  pe  fidā  vo  parī-o-hūr  nahīñ  hai
mushrik  kahe  āshiq  ko  jo  le  naam  ḳhudā  kā
sach  kahte  ho  us  shoḳh  se  kuchh  duur  nahīñ  hai
ho  raat  to  jiite  raheñ  ummīd-e-sahar  par
ye  roz-e-siyah  hī  shab-e-dījūr  nahīñ  hai
'nāzim'  maiñ  paḌhātā  use  'ġhālib'  ke  qasā.ed
afsos  ki  'ḳhāqānī'-e-maġhfūr  nahīñ  hai