apnā  apnā  rañg  dikhlātī  haiñ  jaanī  chūḌiyāñ
āsmānī  arġhavānī  za.afrānī  chūḌiyāñ
ik  zarā  rañg-e-nazākat  bhī  rahī  madd-e-nazar
dhān-pān  ai  jaan  tum  ho  pahno  dhānī  chūḌiyāñ
daaġh  khā  khā  kar  hazāroñ  dil  lahū  ho  ho  ga.e
kal  khulī  pahnīñ  jo  tum  ne  arġhavānī  chūḌiyāñ
haath  khīñche  kyuuñ  na  ārā.ish  se  vo  nāzuk  badan
sā.id-e-nāzuk  pe  kartī  haiñ  girānī  chūḌiyāñ
āshiqoñ  ke  zaḳhm  ro  ro  kar  lahū  hañs  hañs  paḌeñ
mehñdī  maltī  ho  to  pahno  za.afrānī  chūḌiyāñ
rañg  mehñdī  kā  tirī  dast-e-nigārāñ  meñ  nahīñ
kar  rahī  haiñ  ai  parī  ātish-fishānī  chūḌiyāñ
dekhne  vaale  tumhāre  dil  bachā.eñ  kis  tarah
āfat-e-jāñ  tum  balā-e-nāgahānī  chūḌiyāñ
mere  mātam  meñ  utārīñ  aa  ke  merī  qabr  par
de  ga.ī  yuuñ  mujh  ko  vo  apnī  nishānī  chūḌiyāñ
chaar  din  ārā.ishoñ  se  haath  uThānā  chāhiye
sog  meñ  āshiq  ke  lāzim  haiñ  baḌhānī  chūḌiyāñ
iid  ko  hai  nāznīnoñ  sehat-e-'nāzim'  kā  jashn
hoñ  na.ī  ārā.isheñ  utreñ  purānī  chūḌiyāñ