Syed Yusuf Ali Khan Nazim

maine kaha ki da۔awa-e-ulfat magar ghalat

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

Rampur, Uttar pradesh, India

1816-1865
maiñ ne kahā ki da.avā-e-ulfat magar ġhalat
kahne lage ki haañ ġhalat aur kis qadar ġhalat
tāsīr-e-āh-o-zārī-e-shab-hā-e-tār jhuuT
āvāza-e-qubūl duā-e-sahar ġhalat
soz-e-jigar se hoñT pe tabḳhāla iftirā
shor-e-fuġhāñ se jumbish-e-dīvār-o-dar ġhalat
haañ siine se numā.ish dāġh-e-darūñ daroġh
haañ aañkh se tarāvish-e-ḳhūn-e-jigar ġhalat
aa jaa.e koī dam meñ to kyā kuchh na kījiye
ishq-e-majāz-o-chashm-e-haqīqat-nigar ġhalat
bos-o-kanār ke liye ye sab fareb haiñ
izhār-e-pāk-bāzī-o-zauq-e-nazar ġhalat
lo sāhab āftāb kahāñ aur ham kahāñ
ahmaq baneñ ham is ko na samjheñ agar ġhalat
siine meñ apne jānte ho tum ki dil nahīñ
ham ko samajhte ho ki hai in kī kamar ġhalat
kahnā adā ko teġh ḳhushāmad kī baat hai
siine ko apnī us kī samajhnā sipar ġhalat
miTTī meñ kyā dharī thī ki chupke se sauñp dī
jān-e-azīz peshkash-e-nāma-bar ġhalat
pūchho to koī mar ke bhī kartā hai kuchh kalām
kahte ho jaan dī hai sar-e-rah-guzar ġhalat
ham pūchhte phireñ ki janāza kidhar gayā
marne kī apnī roz uḌānī ḳhabar ġhalat
aayat nahīñ hadīs nahīñ jis ko māniye
hai nazm-o-nasr ahl-e-suḳhan sar-basar ġhalat
ye kuchh sunā javāb meñ 'nāzim' sitam kiyā
kyuuñ ye kahā ki da.avā-e-ulfat magar ġhalat
Top Urdushayar.com