maiñ  ne  kahā  ki  da.avā-e-ulfat  magar  ġhalat
kahne  lage  ki  haañ  ġhalat  aur  kis  qadar  ġhalat
tāsīr-e-āh-o-zārī-e-shab-hā-e-tār  jhuuT
āvāza-e-qubūl  duā-e-sahar  ġhalat
soz-e-jigar  se  hoñT  pe  tabḳhāla  iftirā
shor-e-fuġhāñ  se  jumbish-e-dīvār-o-dar  ġhalat
haañ  siine  se  numā.ish  dāġh-e-darūñ  daroġh
haañ  aañkh  se  tarāvish-e-ḳhūn-e-jigar  ġhalat
aa  jaa.e  koī  dam  meñ  to  kyā  kuchh  na  kījiye
ishq-e-majāz-o-chashm-e-haqīqat-nigar  ġhalat
bos-o-kanār  ke  liye  ye  sab  fareb  haiñ
izhār-e-pāk-bāzī-o-zauq-e-nazar  ġhalat
lo  sāhab  āftāb  kahāñ  aur  ham  kahāñ
ahmaq  baneñ  ham  is  ko  na  samjheñ  agar  ġhalat
siine  meñ  apne  jānte  ho  tum  ki  dil  nahīñ
ham  ko  samajhte  ho  ki  hai  in  kī  kamar  ġhalat
kahnā  adā  ko  teġh  ḳhushāmad  kī  baat  hai
siine  ko  apnī  us  kī  samajhnā  sipar  ġhalat
miTTī  meñ  kyā  dharī  thī  ki  chupke  se  sauñp  dī
jān-e-azīz  peshkash-e-nāma-bar  ġhalat
pūchho  to  koī  mar  ke  bhī  kartā  hai  kuchh  kalām
kahte  ho  jaan  dī  hai  sar-e-rah-guzar  ġhalat
ham  pūchhte  phireñ  ki  janāza  kidhar  gayā
marne  kī  apnī  roz  uḌānī  ḳhabar  ġhalat
aayat  nahīñ  hadīs  nahīñ  jis  ko  māniye
hai  nazm-o-nasr  ahl-e-suḳhan  sar-basar  ġhalat
ye  kuchh  sunā  javāb  meñ  'nāzim'  sitam  kiyā
kyuuñ  ye  kahā  ki  da.avā-e-ulfat  magar  ġhalat