vahī  gul  hai  gulistāñ  meñ  vahī  hai  sham.a  mahfil  meñ
vahī  yūsuf  hai  zindāñ  meñ  vahī  lailā  hai  mahmil  meñ
hazāroñ  ban  ga.ī  haiñ  kushtagān-e-ḳhāl  kī  qabreñ
jagah  til  bhar  nahīñ  baaqī  zamīn-e-kū-e-qātil  meñ
nahīñ  raushan  diloñ  kī  qadr  kuchh  arbāb-e-zāhir  ko
ijāzat  baiThne  kī  sham.a  ko  dī  kis  ne  mahfil  meñ
ye  aalam  nuur  kā  hai  jalva-e-dāġh-e-mohabbat  se
nahīñ  kuchh  farq  mere  dil  meñ  aur  ḳhurshīd-e-manzil  meñ
syāhī-e-ḳhūn-e-saudā  kī  ye  vaqt-e-qatl  kaam  aa.ī
lagāyā  surma  chashm-e-jauhar-e-shamshīr-e-qātil  meñ
ye  kis  zohra-jabīñ  kī  anjuman  meñ  aamad  aamad  hai
bichhāyā  hai  qamar  ne  chāñdnī  kā  farsh  mahfil  meñ
nazar  aatā  nahīñ  mānind-e-abrū  ek  māh-e-nau
mahīnoñ  rahtī  haiñ  vo  hasrateñ  madd-e-muqābil  meñ
na  ho  munkir  na  ho  munkir  ḳhudā  vo  hai  ḳhudā  vo  hai
rujūa  qalb  ho  jaate  hai  jis  kī  samt  mushkil  meñ
nahīñ  jauhar  liye  haiñ  bas-ki  shauq-e-qatl  meñ  bose
hamāre  naqsh-e-dandāñ  haiñ  lab-e-shamshīr-e-qātil  meñ
vo  āvāra  huuñ  maiñ  hai  ḳhatm  mujh  par  tez-raftārī
ki  haiñ  miqrāz  donoñ  paañv  mere  qat-e-manzil  meñ
tumhāre  gesu-e-pechāñ  kī  jab  tārīf  likhtā  huuñ
qalam  pāband  ho  jaatā  hai  misroñ  kī  salāsil  meñ
falak  par  jaa.e  iisā  hai  gayā  zer-e-zamīñ  qārūñ
zamīn-o-āsmāñ  kā  farq  paayā  haqq-o-bātil  meñ
bashar  tanhā  nahīñ  dīvāne  us  shamshād-qāmat  ke
shajar  jakḌe  hue  haiñ  ishq-e-pechī  kī  salāsil  meñ
miTā  harf-e-mohabbat  aap  ke  aariz  pe  ḳhat  niklā
hamārā  naam  ab  likhiye  to  likhiye  fard-e-bātil  meñ
umīd-e-ma.adilat  us  shaah  se  hai  mujh  ko  ai  'nāzim'
huī  jis  kī  vilādat  bhī  zamān-e-shāh-e-ādil  meñ