mohtāj  nahīñ  qāfila  āvāz-e-darā  kā
sīdhī  hai  rah-e-but-kada  ehsān  ḳhudā  kā
gar  hai  sar-e-daryuza-e-faiz  ahl-e-nazar  se
ho  rāh-nashīñ  marhala-e-faqr  fanā  kā
ḳhush-nūdī-e-ma.ashūq  hai  ranjūr  hai  āshiq
be-dard  hai  vo  ḳhasta  ki  le  naam  davā  kā
is  baaġh  kī  nik.hat  kā  huuñ  mushtāq  ki  ho  jaa.e
jaate  hue  dam  band  jahāñ  bād-e-sabā  kā
koī  nahīñ  kahtā  ki  ye  kis  kā  hai  karishma
ik  shor  hai  iisā  ke  dam-e-rūh-fazā  kā
jhāḌeñ  tire  ushshāq  use  gard  samajh  kar
paḌ  jaa.e  agar  sar  pe  kabhī  saaya  humā  kā
tan  fart-e-latāfat  se  ho  jab  rūh-e-mujassam
kyā  zor  chale  kashmakash-e-band-e-qabā  kā
kab  kālbud-e-ḳhāk  meñ  ho  itnī  nazākat
jo  but  hai  vo  putlā  hai  magar  nāz-o-adā  kā
yuuñ  qatl  kare  ġhamza-e-dildār  kaheñ  kyā
jauhar  na  kaheñ  gar  mizha  ki  teġh-e-qazā  kā
kyā  daane  kī  ḳhvāhish  ki  hai  tāsīr  ki  jis  se
hotā  hai  guzar  daam  meñ  murġhān-e-havā  kā
asrār  haqīqat  kā  ho  ash.ār  meñ  shāreh
kyā  hausla  hai  'nāzim'-e-āshufta-navā  kā