ham  ne  sau  sau  tarah  banā.ī  baat
sāmne  us  ke  ban  na  aa.ī  baat
sach  to  kahtā  hai  dost  dushman  hai
ham  ne  nāseh  kī  āzmā.ī  baat
baat  ke  kāTne  kā  shikva  kyā
ho  jahāñ  qat.a  āshnā.ī  baat
va.ade  par  us  se  kyuuñ  qasam  māñge
muft  bigḌī  banī  banā.ī  baat
ham  ko  dushman  se  ho  ga.ī  ma.alūm
dost  ne  ham  se  jo  chhupā.ī  baat
kyā  shab-e-vasl  ko  ghaTānā  hai
ġham  hijrāñ  kī  kyuuñ  baḌhā.ī  baat
ye  bhī  un  ke  dahan  kī  ḳhūbī  hai
ki  samajh  meñ  mirī  na  aa.ī  baat
shahr  se  kyuuñ  kareñ  vo  azm-e-safar
ham-nashīñ  tū  ne  kyā  uḌaa.ī  baat
vaañ  se  jā  kar  ḳhabar  nahīñ  laayā
hai  kahīñ  kī  sunī  sunā.ī  baat
bhed  apnoñ  se  bhī  na  kah  'nāzim'
muñh  se  niklī  huī  parā.ī  baat