Satyapal Janbaz

kaisi hai ye bahaar muqaddar ki baat hai

Satyapal Janbaz

1934
kaisī hai ye bahār muqaddar kī baat hai
dāman hai tār-tār muqaddar kī baat hai
kyā qahr hai ki rañg hai phūloñ kā zard zard
kāñToñ pe hai nikhār muqaddar kī baat hai
is muḳhtasar hayāt meñ itnī musībateñ
kis ko hai iḳhtiyār muqaddar kī baat hai
ai dost āgahī hameñ koshish ke bāvajūd
aa.ī na sāzgār muqaddar kī baat hai
har-gām par fareb diye jis nasīb ne
phir us pe e.atibār muqaddar kī baat hai
sāhil se ham-kanār kare yā Dubo hī de
maujoñ kā ye ubhār muqaddar kī baat hai
'jāñbāz' ġhair ke liye duniyā kī ne.amateñ
mere liye hai daar muqaddar kī baat hai
Top Urdushayar.com