Abid Kazmi

na ho hayat ka hasil to bandagi kya hai

Abid Kazmi

1958

na ho hayāt hāsil to bandagī kyā hai

jo be-niyāz ho sajdoñ se zindagī kyā hai

sadā-bahār chaman meñ bhī gar nasheman ho

tire baġhair jo guzre vo zindagī kyā hai

ḳhudā ko maan ke ḳhud ko ḳhudā samajhtā hai

anā-parastī sarāsar hai bandagī kyā hai

bas ham kamāl samajhte hai jiite rahne ko

ye karbalā ne batāyā ki zindagī kyā hai

vo jo faqīr sifat ḳhud ko kahtā phirtā hai

qabā harīr pahne hai sādgī kyā hai

Top Urdushayar.com