Aleena Itrat

KHizan ki zard si rangat badal bhi sakti hai

Aleena Itrat

Bijnor, Uttar pradesh, India

ḳhizāñ zard rañgat badal bhī saktī hai

bahār aane sūrat nikal bhī saktī hai

jalā ke sham.a ab uTh uTh ke dekhnā chhoḌo

vo zimmedārī se az-ḳhud pighal bhī saktī hai

hai shart sub.h ke raste se ho ke shaam aa.e

to raat us ko sahar meñ badal bhī saktī hai

zarā sambhal ke jalānā aqīdatoñ ke charāġh

bhaḌak na jaa.eñ ki masnad ye jal bhī saktī hai

abhī to chaak pe jaarī hai raqs miTTī

abhī kumhār niyyat badal bhī saktī hai

ye āftāb se kah do ki fāsla rakkhe

tapish se barf dīvār gal bhī saktī hai

tire na aane tashrīh kuchh zarūrī nahīñ

ki tere aate duniyā badal bhī saktī hai

koī zarūrī nahīñ vo dil ko shaad kare

'alīnā' aap tabī.at bahal bhī saktī hai

Top Urdushayar.com