mujhe  ḳhvāb-e-sarāb-e-azāb  diye  mirī  ruuh  kā  naġhma  chhīn  liyā
āshob-e-malāl  ishrat-e-jāñ  'vijdān'  se  kyā  kyā  chhīn  liyā
ik  ranj-e-safar  kī  dhuul  mire  chehre  pe  gard-e-malāl  huī
ik  kaif  jo  sañgī  sāthī  thā  us  kaif  kā  saaya  chhīn  liyā
mire  haath  bhī  zaḳhm-e-dil  kī  tarah  maiñ  TuuT  gayā  sāhil  kī  tarah
ai  dard-e-ġham-e-hijrāñ  tū  ne  kyā  mujh  ko  diyā  kyā  chhīn  liyā
in  rañgoñ  meñ  mirā  rañg  bhī  thā  in  bātoñ  meñ  mirī  baat  bhī  thī
mirā  rañg  miTā  mirī  baat  kaTī  kis  ne  mirā  rasta  chhīn  liyā
ai  shahr-e-alam  mirī  baat  to  sun  tū  ḳhvāb  mire  vāpas  kar  de
maiñ  terā  karam  lauTā  dūñgā  tū  ne  mirā  chehra  chhīn  liyā
maiñ  nauhagarī  tak  bhuul  gayā  mire  log  jale  mire  shahr  luTe
is  shahr-e-ma.īshat  ne  mujh  se  ehsās  kā  dariyā  chhīn  liyā
ye  sūd-o-ziyāñ  kī  bāteñ  haiñ  in  bātoñ  meñ  kyā  rakkhā  hai
ik  ḳhvāb-e-tamannā  de  ke  mujhe  ik  ḳhvāb-e-tamannā  chhīn  liyā