savād-e-shauq-o-talab  ġham  kā  baab  aisā  thā
jalā  ke  ḳhaak  kiyā  iztirāb  aisā  thā
bahut  hī  talḳh  thā  ya.anī  sharāb  aisā  thā
savāl  yaad  nahīñ  hai  javāb  aisā  thā
tamāzatoñ  ne  ġham-e-hijr  kī  ujaaḌ  diyā
badan  thā  phuul  sā  chehra  kitāb  aisā  thā
maiñ  kaañp  kaañp  gayā  huuñ  ba-nāme--sūd-o-ziyāñ
shumār-e-zaḳhm-e-hunar  kā  javāb  aisā  thā
sulag  rahe  the  mire  hoñT  jal  rahā  thā  badan
zabāñ  se  kuchh  na  kahā  thā  hijāb  aisā  thā
mirī  talab  hī  banī  mere  paañv  kī  zanjīr
bhaTak  rahā  huuñ  maiñ  ab  tak  sarāb  aisā  thā
jhulas  ke  rah  gayā  chehra  tamām  ḳhvāboñ  kā
ḳhumār-e-tishna-labī  kā  azaab  aisā  thā
vo  ahd-e-gumrahī  kahtā  hai  us  kī  marzī  hai
jo  dekh  le  tū  taḌap  jaa.e  ḳhvāb  aisā  thā
bahut  hī  zo.am  thā  apnī  mohabbatoñ  pe  use
nibhā  sakā  na  vafā  kāmyāb  aisā  thā
rafāqatoñ  kā  fusūñ  TūTnā  hī  thā  'vijdān'
safar  meñ  chhoḌ  gayā  hai  ḳharāb  aisā  thā