Ambar Bahraichi

hanste hue chehre mein koi sham chhupi thi

Ambar Bahraichi

Bahraich, Uttar pradesh, India

hañste hue chehre meñ koī shaam chhupī thī
ḳhush-lahja taḳhātub kī khanak niim chaḌhī thī
jalvoñ kī anā toḌ ga.ī ek hī pal meñ
kachnār sī bijlī mere siine meñ uḌī thī
piitā rahā dariyā ke tamavvuj ko shanāvar
hoñToñ pe nadī ke bhī ajab tishna-labī thī
ḳhush-rañg ma.ānī ke ta.āqub meñ rahā maiñ
ḳhatt-e-lab-e-lālīñ kī har ik mauj ḳhafī thī
har samt ram-e-haft balā shola-fishāñ hai
bachpan meñ to har gaam pe ik sabz-parī thī
sadiyoñ se hai jalte hue Taapu kī amānat
vo vādi-o-gul-rañg jo ḳhvāboñ meñ palī thī
jalte hue kohsār pe ik shoḳh gilahrī
muñh moḌ ke gulshan se ba-sad naaz khaḌī thī
neze kī anī thī rag-e-anfās meñ raqsāñ
vo taaza havāoñ meñ thā khiḌkī bhī khulī thī
ham pī bhī ga.e aur salāmat bhī haiñ 'amabar'
paanī kī har ik buuñd meñ hiire kī kanī thī
Top Urdushayar.com