hañste  hue  chehre  meñ  koī  shaam  chhupī  thī
ḳhush-lahja  taḳhātub  kī  khanak  niim  chaḌhī  thī
jalvoñ  kī  anā  toḌ  ga.ī  ek  hī  pal  meñ
kachnār  sī  bijlī  mere  siine  meñ  uḌī  thī
piitā  rahā  dariyā  ke  tamavvuj  ko  shanāvar
hoñToñ  pe  nadī  ke  bhī  ajab  tishna-labī  thī
ḳhush-rañg  ma.ānī  ke  ta.āqub  meñ  rahā  maiñ
ḳhatt-e-lab-e-lālīñ  kī  har  ik  mauj  ḳhafī  thī
har  samt  ram-e-haft  balā  shola-fishāñ  hai
bachpan  meñ  to  har  gaam  pe  ik  sabz-parī  thī
sadiyoñ  se  hai  jalte  hue  Taapu  kī  amānat
vo  vādi-o-gul-rañg  jo  ḳhvāboñ  meñ  palī  thī
jalte  hue  kohsār  pe  ik  shoḳh  gilahrī
muñh  moḌ  ke  gulshan  se  ba-sad  naaz  khaḌī  thī
neze  kī  anī  thī  rag-e-anfās  meñ  raqsāñ
vo  taaza  havāoñ  meñ  thā  khiḌkī  bhī  khulī  thī
ham  pī  bhī  ga.e  aur  salāmat  bhī  haiñ  'amabar'
paanī  kī  har  ik  buuñd  meñ  hiire  kī  kanī  thī