har  lamha  sairābī  kī  arzānī  hai
miTTī  ke  kuuze  meñ  ThanDā  paanī  hai
chupke  chupke  rotā  hai  tanhā.ī  meñ
vo  jo  shahr  ke  har  mele  kā  baanī  hai
nadī  kināre  shahr  panāheñ  bāloñ  kī
sāvan  kī  bauchhāreñ  haiñ  tuġhyānī  hai
bāhar  dhuup  samundar  surḳh  bagūle  bhī
andar  har  ḳhuliye  meñ  rut  barfānī  hai
us  ne  har  zarre  ko  tilism-ābād  kiyā
haath  hamāre  lagī  faqat  hairānī  hai
mere  dasht  ko  shāyad  us  ne  dekh  liyā
dhuup  shabnamī  har-sū  manzar  dhānī  hai
jaane  kyā  barsā  thā  raat  charāġhoñ  se
bhor  samay  sūraj  bhī  paanī  paanī  hai
us  ne  har  lamha  ḳhud  ko  yuuñ  raam  kiyā
har  paikar  meñ  us  kī  rām-kahānī  hai
kachchā  ghar  aatā  hai  yaad  bahut  'amabar'
kahne  ko  shahroñ  meñ  har  āsānī  hai