darvāza  vā  kar  ke  roz  nikaltā  thā
sirf  vahī  apne  ghar  kā  sarmāya  thā
khaḌe  hue  the  peḌ  jaḌoñ  se  kaT  kar  bhī
tez  havā  kā  jhoñkā  aane  vaalā  thā
usī  nadī  meñ  us  ke  bachche  Duub  ga.e
usī  nadī  kā  paanī  us  kā  piinā  thā
sabz  qabā.eñ  roz  luTātā  thā  lekin
ḳhud  us  ke  tan  par  bosīda  kapḌā  thā
bāhar  saare  maidāñ  jiit  chukā  thā  vo
ghar  lauTā  to  pal  bhar  meñ  hī  TuuTā  thā
but  kī  qīmat  aañk  rahā  thā  vaise  vo
mandir  meñ  to  puujā  karne  aayā  thā
chīḳh  paḌīñ  saarī  dīvāreñ  'amabar'-jī
maiñ  sab  se  chhup  kar  kamre  meñ  baiThā  thā