jalte  hue  jañgal  se  guzarnā  thā  hameñ  bhī
phir  barf  ke  sahrā  meñ  Thaharnā  thā  hameñ  bhī
me.ār-navāzī  meñ  kahāñ  us  ko  sukūñ  thā
us  shoḳh  kī  nazroñ  se  utarnā  thā  hameñ  bhī
jaañ  baḳhsh  thā  pal  bhar  ke  liye  lams  kisī  kā
phir  karb  ke  dariyā  meñ  utarnā  thā  hameñ  bhī
yāroñ  kī  nazar  hī  meñ  na  the  pañkh  hamāre
ḳhud  apnī  uḌānoñ  ko  katarnā  thā  hameñ  bhī
vo  shahad  meñ  Duubā  huā  lahja  vo  taḳhātub
iḳhlās  ke  vo  rañg  ki  Darnā  thā  hameñ  bhī
yaad  aa.e  jo  qadroñ  ke  mahakte  hue  gulban
chāñdī  ke  hisāroñ  se  ubharnā  thā  hameñ  bhī
sone  ke  hanDole  meñ  vo  ḳhush-posh  magan  thā
mausam  bhī  suhānā  thā  sañvarnā  thā  hameñ  bhī
har  phuul  pe  us  shaḳhs  ko  patthar  the  chalāne
ashkoñ  se  har  ik  barg  ko  bharnā  thā  hameñ  bhī
us  ko  thā  bahut  naaz  ḳhadd-o-ḳhāl  pe  'amabar'
ik  roz  tah-e-ḳhāk  bikharnā  thā  hameñ  bhī