mire  chehre  pe  jo  aañsū  girā  thā
na  jaane  kitne  sho.aloñ  meñ  jalā  thā
hamāre  kaan  bahre  ho  ga.e  the
udhar  vo  dāstāñ-go  hañs  rahā  thā
añdherī  raat  sannāTe  kā  aalam
nadī  ke  paar  ik  lapkā  jagā  thā
bahut  āzār  the  raste  meñ  lekin
lahū  meñ  phūl-mausam  hañs  rahā  thā
havā-e-garm  yuuñ  dil  meñ  chalī  thī
mirī  āñkhoñ  meñ  sāvan  bas  gayā  thā
añdhere  dasht  se  nikle  ki  dekhā
savā  neze  pe  sūraj  aa  chukā  thā
laboñ  pe  thī  mire  sub.h-e-tabassum
mire  bātin  meñ  koī  ro  rahā  thā
bahut  din  ba.ad  khul  kar  mil  rahe  the
mire  bachchoñ  ko  jaane  kyā  huā  thā
bahut  mushtāq  thā  shahr-e-ḳhamoshāñ
ki  bastī  meñ  faqat  'amabar'  bachā  thā