ab  qabīle  kī  rivāyat  hai  bikharne  vaalī
har  nazar  ḳhud  meñ  koī  shahr  hai  bharne  vaalī
ḳhush-gumānī  ye  huī  suukh  gayā  jab  dariyā
ret  se  ab  mirī  kashtī  hai  ubharne  vaalī
ḳhushbuoñ  ke  na.e  jhoñke  haiñ  har  ik  dhaḌkan  meñ
kaun  sī  rut  hai  mire  dil  meñ  Thaharne  vaalī
kuchh  parinde  haiñ  magan  mausamī  parvāzoñ  meñ
ek  āñdhī  hai  par-o-bāl  katarne  vaalī
ham  bhī  ab  siikh  ga.e  sabz  pasīne  kī  zabāñ
sañg-zāroñ  kī  jabīneñ  haiñ  sañvarne  vaalī
tez  dhun  par  the  sabhī  raqs  meñ  kyuuñ  kar  sunte
chand  lamhoñ  meñ  balā.eñ  thiiñ  utarne  vaalī
bas  usī  vaqt  ka.ī  jvālā-mukhī  phuuT  paḌe
motiyoñ  se  mirī  har  naav  thī  bharne  vaalī
Dhak  liyā  chāñd  ke  chehre  ko  siyah  bādal  ne
chāñdnī  thī  mire  āñgan  meñ  utarne  vaalī
daf.atan  TuuT  paḌe  chand  bagūle  'amabar'
ḳhushbueñ  thiiñ  mirī  bastī  se  guzarne  vaalī