burīda  bāzuoñ  meñ  vo  parind  lāla-bār  thā
shikāriyoñ  ke  ġhol  meñ  ajiib  intishār  thā
hare  phaloñ  ko  toḌtī  huī  havā  guzar  ga.ī
bujhī  bujhī  fazā  meñ  har  daraḳht  sogvār  thā
safar  kā  āḳhirī  paḌāv  aa  gayā  thā  aur  maiñ
jo  ham-safar  bichhaḌ  rahe  the  un  pe  ashk-bār  thā
ga.e  the  ham  bhī  bahr  kī  tahoñ  meñ  jhūmte  hue
har  ek  siip  ke  laboñ  meñ  sirf  regzār  thā
dhulī  dhulī  fazā  meñ  ho  ga.ī  abas  vo  justujū
ki  manzar-e-nazar-navāz  to  pas-e-ġhubār  thā
dam-e-sahar  na  jaane  jaane  kaun  aa  gayā  use
ravāñ  the  ashk  añkhḌiyoñ  se  haath  meñ  sitār  thā
jo  vaqt  aa  gayā  tamām  tiir  TūTte  ga.e
usī  na.ī  kamāñ  pe  to  mujhe  bhī  e'tibār  thā
baras  rahī  thī  aag  is  dayār-e-sañg  meñ  magar
mire  lahū  meñ  gul-fishāñ  vo  champa.ī  azaar  thā
ajiib  thī  sarisht  bhī  hamāre  dhaan  paan  kī
kabhī  to  bahr-e-be-karāñ  kabhī  sarāb-zār  thā