vo  lamha  mujh  ko  shashdar  kar  gayā  thā
mire  andar  bhī  laavā  bhar  gayā  thā
hai  donoñ  samt  vīrānī  kā  aalam
isī  raste  se  vo  lashkar  gayā  thā
guzārī  thī  bhañvar  meñ  us  ne  lekin
vo  māñjhī  sāhiloñ  se  Dar  gayā  thā
qalandar  mutma.in  thā  jhoñpaḌe  meñ
abas  us  ke  liye  mahzar  gayā  thā
na  jaane  kaisī  aahaT  thī  fazā  meñ
vo  din  Dhalte  hī  apne  ghar  gayā  thā
abhī  tak  bām-o-dar  haiñ  phuul  jaise
mire  ghar  bhī  vo  ḳhush-manzar  gayā  thā
sitāre  bā-adab  Thahre  hue  the
ḳhalā  meñ  ek  ḳhush-paikar  gayā  thā
idhar  āñkhoñ  meñ  merī  dhuul  Thahrī
udhar  shabnam  se  manzar  bhar  gayā  thā
magar  tishna-labī  Thahrī  muqaddar
nadī  ke  paas  bhī  'amabar'  gayā  thā