shab  ḳhvāb  ke  jazīroñ  meñ  hañs  kar  guzar  ga.ī
āñkhoñ  meñ  vaqt-e-sub.h  magar  dhuul  bhar  ga.ī
pichhlī  rutoñ  meñ  saare  shajar  bārvar  to  the
ab  ke  har  ek  shāḳh  magar  be-samar  ga.ī
ham  bhī  baḌhe  the  vādi-e-iz.hār  meñ  magar
lahje  ke  intishār  se  āvāz  mar  ga.ī
tujh  phuul  ke  hisār  meñ  ik  lutf  hai  ajab
chhū  kar  jise  havā-e-tarab-e-motabar  ga.ī
dil  meñ  ajab  sā  tiir  tarāzū  hai  in  dinoñ
haañ  ai  nigāh-e-nāz  batā  tū  kidhar  ga.ī
maqsad  salā-e-ām  hai  phir  ehtiyāt  kyuuñ
be-rañg  rauzanoñ  se  jo  ḳhushbū  guzar  ga.ī
us  ke  dayār  meñ  ka.ī  mahtāb  bhej  kar
vādi-e-dil  meñ  ik  amāvas  Thahar  ga.ī
ab  ke  qafas  se  duur  rahī  mausamī  havā
āzād  tā.eroñ  ke  paroñ  ko  katar  ga.ī
āñdhī  ne  sirf  mujh  ko  musaḳhḳhar  nahīñ  kiyā
ik  dasht-e-be-dilī  bhī  mire  naam  kar  ga.ī
phir  chār-sū  kasīf  dhueñ  phailne  lage
phir  shahr  kī  nigāh  tere  qasr  par  ga.ī
alfāz  ke  tilism  se  'amabar'  ko  hai  shaġhaf
us  kī  hayāt  kaise  bhalā  be-hunar  ga.ī