Ambar Bahraichi

kyun na hon shad ki hum rahguzar mein hain abhi

Ambar Bahraichi

Bahraich, Uttar pradesh, India

kyuuñ na hoñ shaad ki ham rāhguzar meñ haiñ abhī
dasht-e-be-sabz meñ aur dhuup nagar meñ haiñ abhī
surḳh aazar hī mire zaḳhmoñ pe na ho yuuñ masrūr
ka.ī shahpar mire TuuTe hue par meñ haiñ abhī
in dhundalkoñ kī har ik chaal to shātir hai magar
nuqra.ī naqsh mire dast-e-hunar meñ haiñ abhī
umr bhar maiñ to rahā ḳhāna-badoshī meñ idhar
kuchh kabūtar mire aslāf ke ghar meñ haiñ abhī
ek muddat se koī sabz na ubhrā is meñ
ghoñsle chiil ke be-barg shajar meñ haiñ abhī
shahr kī dhuul fazā.eñ hī muqaddar meñ rahīñ
aam ke bor magar merī nazar meñ haiñ abhī
raakh ke Dher pe mātam na karo dekho bhī
ka.ī shole kisī be-jān sharar meñ haiñ abhī
ek sāhir kabhī guzrā thā idhar se 'amabar'
jā-e-hairat ki sabhī us ke asar meñ haiñ abhī
Top Urdushayar.com