gulāb  thā  na  kañval  phir  badan  vo  kaisā  thā
ki  jis  kā  lams  bahāroñ  meñ  rañg  bhartā  thā
jahāñ  pe  sāda-dilī  ke  makīñ  the  kuchh  paikar
vo  jhoñpaḌā  thā  magar  pur-shikoh  kitnā  thā
mashām-e-jāñ  se  guzartī  rahī  hai  taaza  havā
tirā  ḳhayāl  khule  āsamān  jaisā  thā
usī  ke  haath  meñ  tamġhe  haiñ  kal  jo  maidāñ  meñ
hamārī  chhāñv  meñ  apnā  bachāo  kartā  thā
ye  sach  hai  rañg  badaltā  thā  vo  har  ik  lamha
magar  vahī  to  bahut  kāmyāb  chehrā  thā
har  ik  nadī  se  kaḌī  pyaas  le  ke  vo  guzrā
ye  aur  baat  ki  vo  ḳhud  bhī  ek  dariyā  thā
vo  ek  jast  meñ  nazroñ  se  duur  thā  'amabar'
ḳhalā  meñ  sirf  sunahrā  ġhubār  phailā  thā