jagmagātī  raushnī  ke  paar  kyā  thā  dekhte
dhuul  kā  tūfāñ  añdhere  bo  rahā  thā  dekhte
sabz  Tahnī  par  magan  thī  fāḳhta  gaatī  huī
ek  shakra  paas  hī  baiThā  huā  thā  dekhte
ham  añdhere  Tāpuoñ  meñ  zindagī  karte  rahe
chāñdnī  ke  des  meñ  kyā  ho  rahā  thā  dekhte
jaan  dene  kā  hunar  har  shaḳhs  ko  aatā  nahīñ
sohnī  ke  haath  meñ  kachchā  ghaḌā  thā  dekhte
zehn  meñ  bastī  rahī  har  baar  huuhī  kī  kalī
bair  ke  jañgal  se  ham  ko  kyā  milā  thā  dekhte
aam  ke  peḌoñ  ke  saare  phal  sunahre  ho  ga.e
is  baras  bhī  rāsta  kyuuñ  ro  rahā  thā  dekhte
us  ke  hoñToñ  ke  tabassum  pe  the  sab  chauñke  hue
us  kī  āñkhoñ  kā  samundar  kyā  huā  thā  dekhte
raat  ujle  pairahan  vaale  the  ḳhvāboñ  meñ  magan
dūdhiyā  pūnam  ko  kis  ne  Das  liyā  thā  dekhte
biich  meñ  dhuñdle  manāzir  the  agarche  saf-ba-saf
phir  bhī  'amabar'  hāshiya  to  hañs  rahā  thā  dekhte