Wali Mohammad Wali

wo naznin ada mein ejaz hai sarapa

Wali Mohammad Wali

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1667-1725
vo nāznīñ adā meñ ejaaz hai sarāpā
ḳhūbī meñ gul-ruḳhāñ suuñ mumtāz hai sarāpā
ai shoḳh tujh nayan meñ dekhā nigāh kar kar
āshiq ke mārne kā andāz hai sarāpā
jag ke adā-shanāsāñ hai jin kī fikr aalī
tujh qad kuuñ dekh bole yū naaz hai sarāpā
kyuuñ ho sakeñ jagat ke dilbar tire barābar
tū husn haur adā meñ ejaaz hai sarāpā
gaahe ai īsvī-dam yak baat lutf suuñ kar
jāñ-baḳhsh mujh ko terā āvāz hai sarāpā
mujh par 'valī' hamesha dildār mehrbāñ hai
har-chand hasb-e-zāhir tannāz hai sarāpā
Top Urdushayar.com